Best 90+ Chand Shayari in Hindi 2024
रात के अंधेरे में जब चाँद अपनी रोशनी बिखेरता है, तो उसकी खूबसूरती दिलों को छू जाती है। चाँद को हमेशा से ही प्रेम, भावनाओं और यादों का प्रतीक माना जाता रहा है। Chand Shayari उन जज़्बातों को खूबसूरत शब्दों में बयां करने का एक तरीका है, जो चाँद को देख कर दिल में उठते हैं।
ShayariKingdom.Com पर हम आपको बेहतरीन Chand Shayari का संग्रह पेश करते हैं। ये शायरी आपकी भावनाओं को व्यक्त करने और किसी खास को महसूस कराने का एक शानदार तरीका है। आप इन शायरी को दोस्तों, प्रेमी या जीवन साथी के साथ साझा कर सकते हैं और उनके चेहरे पर मुस्कान ला सकते हैं।
Chand Shayari
क्यूँ मेरी तरह रातों को रहता है परेशाँ,
ऐ चाँद बता किस से तेरी आँख लड़ी है।
Kyun meri tarah raaton ko rehta hai pareshaan,
Ae chaand bata kis se teri aankh ladi hai.
मुन्तज़िर हूँ कि सितारों की जरा आँख लगे,
चाँद को छत पे बुला लूँगा इशारा करके।
Muntazir hoon ki sitaron ki zara aankh lage,
Chaand ko chhat pe bula loonga ishaara karke.
रात भर आसमां में हम चाँद ढूढ़ते रहे,
चाँद चुपके से मेरे आँगन में उतर आया।
Raat bhar aasmaan mein hum chaand dhoondhte rahe,
Chaand chupke se mere aangan mein utar aaya.
पत्थर की दुनिया जज़्बात नहीं समझती,
दिल में क्या है वो बात नहीं समझती,
तनहा तो चाँद भी सितारों के बीच में है,
पर चाँद का दर्द वो रात नहीं समझती।
Patthar ki duniya jazbaat nahi samajhti,
Dil mein kya hai wo baat nahi samajhti,
Tanhaa to chaand bhi sitaron ke beech mein hai,
Par chaand ka dard wo raat nahi samajhti.
ऐ चाँद मुझे बता तू मेरा क्या लगता है,
क्यूँ मेरे साथ सारी रात जगा करता है,
मैं तो बन बैठा हूँ दीवाना उनके प्यार में,
क्या तू भी किसी से बेपनाह मोहब्बत करता है।
Ae chaand mujhe bata tu mera kya lagta hai,
Kyun mere saath saari raat jaga karta hai,
Main to ban baitha hoon deewana unke pyaar mein,
Kya tu bhi kisi se bepanah mohabbat karta hai.
Chand Shayari Gulzar
मैं हर रात सारी ख़्वाहिशों को खुद से पहले सुला देता हूँ,
मगर रोज़ सुबह ये मुझसे पहले जाग जाती हैं।
Main har raat saari khwahishon ko khud se pehle sulaa deta hoon,
Magar roz subah ye mujhse pehle jaag jaati hain.
आज फिर चाँद की रौशनी में,
तुम्हें देखने का मन कर रहा है,
तुम्हारी यादों में खो जाने का मन कर रहा है,
चाँद से भी ज़्यादा तुम्हें देखने का मन कर रहा है।
Aaj phir chaand ki roshni mein,
Tumhein dekhne ka man kar raha hai,
Tumhari yaadon mein kho jaane ka man kar raha hai,
Chaand se bhi zyada tumko dekhne ka man kar raha hai.
ज़रा ये धूप ढल जाए, तो हाल पूछेंगे,
यहाँ कुछ साये, खुद को खुदा बताते हैं।
Zara ye dhoop dhal jaaye, to haal poochhenge,
Yahan kuch saaye, khud ko khuda batate hain.
Chand Shayari in Hindi
ऐ काश हमारी क़िस्मत में ऐसी भी कोई शाम आ जाए,
एक चाँद फ़लक पर निकला हो एक छत पर आ जाए।
Ae kaash hamari qismat mein aisi bhi koi shaam aa jaaye,
Ek chaand falak par nikla ho ek chhat par aa jaaye.
ढूँढता हूँ मैं जब अपनी ही खामोशी को,
मुझे कुछ काम नहीं दुनिया की बातों से,
आसमाँ दे न सका चाँद अपने दामन का,
माँगती रह गई धरती कई रातों से।
Dhoondhta hoon main jab apni hi khaamoshi ko,
Mujhe kuch kaam nahi duniya ki baaton se,
Aasmaan de na saka chaand apne daaman ka,
Maangti reh gayi dharti kai raaton se.
कितना हसीन चाँद सा चेहरा है,
उसपे शबाब का रंग गहरा है,
खुदा को यकीन न था वफ़ा पे,
तभी चाँद पे तारों का पहरा है।
Kitna haseen chaand sa chehra hai,
Uspe shabaab ka rang gehra hai,
Khuda ko yakeen na tha wafa pe,
Tabhi chaand pe taaron ka pehra hai.
तू अपनी निगाहों से न देख खुद को,
चमकता हीरा भी तुझे पत्थर लगेगा,
सब कहते होंगे चाँद का टुकड़ा है तू,
मेरी नजर से चाँद तेरा टुकड़ा लगेगा।
Tu apni nigahon se na dekh khud ko,
Chamakta heera bhi tujhe patthar lagega,
Sab kehte honge chaand ka tukda hai tu,
Meri nazar se chaand tera tukda lagega.
इक अदा आपकी दिल चुराने की,
इक अदा आपकी दिल में बस जाने की,
चेहरा आपका चाँद सा और एक
हसरत हमारी उस चाँद को पाने की।
Ik ada aapki dil churane ki,
Ik ada aapki dil mein bas jaane ki,
Chehra aapka chaand sa aur ek
Hasrat hamari us chaand ko paane ki.
Chand Shayari Love
चाँद मत मांग मेरे चाँद जमीं पर रहकर,
खुद को पहचान मेरी जान खुदी में रहकर.
Chaand mat maang mere chaand zameen par rehkar,
Khud ko pehchaan meri jaan khudi mein rehkar.
चाँद तारो में नज़र आये चेहरा आपका,
जब से मेरे दिल पे हुआ है पहरा आपका।
Chaand taaron mein nazar aaye chehra aapka,
Jab se mere dil pe hua hai pehra aapka.
इश्क तेरी इन्तेहाँ इश्क मेरी इन्तेहाँ,
तू भी अभी न-तमाम मैं भी अभी न-तमाम।
Ishq teri intehaan ishq meri intehaan,
Tu bhi abhi na-tamaam main bhi abhi na-tamaam.
न चाहते हुए भी मेरे लब पर
ये फरियाद आ जाती है,
ऐ चाँद सामने न आ
सनम की याद आ जाती है।
Na chahte hue bhi mere lab par
Ye fariyaad aa jaati hai,
Ae chaand saamne na aa
Sanam ki yaad aa jaati hai.
ना चाँद चाहिए ना फलक चाहिए,
मुझे बस तेरी एक झलक चाहिए।
Na chaand chahiye na falak chahiye,
Mujhe bas teri ek jhalak chahiye.
Chand Shayari in English
Aaj toote ga guroor chaand ka tum dekhna yaaro,
Aaj maine unhein chhat par bula rakha hai.
Aasmaan aur zameen ka hai faasla har-chand,
Ae sanam door hi se chaand sa mukhda dikha.
Uske chehre ki chamak ke saamne saada laga,
Aasmaan par chaand poora tha… magar aadha laga.
Wo chaand keh ke gaya tha ki aaj niklega,
To intezaar mein baitha hua hoon shaam se hi main.
Kitna haseen chaand sa chehra hai,
Uspe shabaab ka rang gehra hai,
Khuda ko yakeen na tha wafa pe,
Tabhi chaand pe taaron ka pehra hai.
Love Chand Shayari in English
Ijaazat Ho to Ham Bhee Tumhaare Paas Aa Jaen
Dekhon Na Chaand Ke Paas Bhee to Ek Sitaara Hai.
Vo Mujhe Roj Kahatee Thee Tum Mujhe Chaand La Kar Do
Usase Ek Aaeena Dekhakar Akela Chhod Aaya Hoon.
Aaj Tootega Guroor Chaand Ka Dekhana Dosto
Aaj Mainne Unhen Chhat Par Bula Rakha Hai.
Chehara Chaand Ka Padh Lena Magar Jara Khyaal Se
Kuchh Khyaal Likh Diye Hai Hamane Bade Hee Bekhyaal Se.
Jara Kabhi Meri Nazar Se Khud Ko Dekh Bhi
Hai Chaand Mein Bhi Daag Par Na Tujh Mein Ek Bhi.
Poetry Chand Shayari 2 Line
चलो चाँद का किरदार अपना लें हम दोस्तो,
दाग अपने पास रखें और रौशनी बाँट दें।
Chalo chaand ka kirdar apna lein hum dosto,
Daag apne paas rakhein aur raushni baant dein.
ऐ चाँद चला जा क्यों आया है तू मेरी चौखट पर,
छोड़ गया वो शख्स जिसके धोखे में तुझे देखते थे।
Ae chaand chala ja kyun aaya hai tu meri chaukhat par,
Chhod gaya wo shakhs jiske dhoke mein tujhe dekhte the.
है चाँद सितारों में चमक तेरे प्यार की,
हर फूल से आती है महक तेरे प्यार की।
Hai chaand sitaron mein chamak tere pyaar ki,
Har phool se aati hai mehak tere pyaar ki.
ज़िंदगी जब भी तिरी बज़्म में लाती है हमें
ये ज़मीं चाँद से बेहतर नज़र आती है हमें
Zindagi jab bhi teri bazm mein laati hai humein
Ye zameen chaand se behtar nazar aati hai humein.
Chand Shayari 2 Line
चाँद में नज़र कैसे आए तेरी सूरत मुझको,
आँधियों से आसमाँ का रंग मैला हो गया।
Chaand mein nazar kaise aaye teri soorat mujhko,
Aandhiyon se aasmaan ka rang maila ho gaya.
मेरा और चाँद का मुक़द्दर एक जैसा है,
वो तारो में अकेला मैं हजारो में अकेला।
Mera aur chaand ka muqaddar ek jaisa hai,
Wo taaron mein akela main hazaron mein akela.
दिन में चैन नहीं ना होश है रात में
खो गया है चाँद भी देखो बादल के आगोश में
Din mein chain nahi na hosh hai raat mein
Kho gaya hai chaand bhi dekho baadal ke aagosh mein
चलो चाँद का किरदार अपना लें हम,
दाग अपने पास रखें और रौशनी बाँट दें।
Chalo chaand ka kirdaar apna lein hum,
Daag apne paas rakhein aur raushni baant dein.
मुझे ये ज़िद है कभी चाँद को असीर करूँ,
सो अब के दरिया में एक दाएरा बनाना है।
Mujhe ye zid hai kabhi chaand ko aseer karoon,
So ab ke darya mein ek daayra banana hai.
Eid Ka Chand Shayari
ईद के बाद वो मिलने के लिए आए हैं,
ईद का चाँद नज़र आने लगा ईद के बाद।
Eid ke baad wo milne ke liye aaye hain,
Eid ka chaand nazar aane laga Eid ke baad.
ईद का दिन है, गले आज तो मिल ले ज़ालिम,
रस्म-ए-दुनिया भी है, मौक़ा भी है, दस्तूर भी है।
Eid ka din hai, gale aaj to mil le zalim,
Rasm-e-duniya bhi hai, mauqa bhi hai, dastoor bhi hai.
ईद को भी वो नहीं मिलते हैं मुझसे, न मिलें,
एक बरस दिन की मुलाक़ात है, ये भी न सही।
Eid ko bhi wo nahi milte hain mujh se, na milen,
Ek baras din ki mulaqat hai, ye bhi na sahi.
मुबाराक नाम है तेरा,
मुबाराक ईद हो तुझको,
जिसे तू देखना चाहे,
उसी की दीद हो तुझको,
ईद मुबारक!
Mubarak naam hai tera,
Mubarak Eid ho tujhko,
Jise tu dekhna chahe,
Usi ki deed ho tujhko,
Eid Mubarak!
चुपके से चाँद की रोशनी छू जाए आपको,
धीरे से ये हवा कुछ कह जाए आपको,
दिल से जो चाहते हो, मांग लो खुदा से,
हम दुआ करते हैं वो सारी खुशियां मिल जाएं आपको।
ईद मुबारक!
Chupke se chaand ki roshni chhoo jaaye aapko,
Dheere se ye hawa kuch keh jaaye aapko,
Dil se jo chahte ho, maang lo bhagwan se,
Hum dua karte hain woh saari khushiyan mil jaaye aapko.
Eid Mubarak!
Moon Shayari in English
Humesa yaad rakho, hum ek hi aasman ke neeche hain,
Ek hi chaand ko dekh rahe hain.”
Wo us ladki ki tarah thi jo chaand se ishq karti thi,
Aur har us cheez se jo khoobsurat hone ke saath pahunch se baahar thi
Ye kis zahra-jabeen ki anjuman mein aamad aamad hai,
Bichhaya hai qamar ne chandni ka farsh mahfil mein
Lutf-e-shab-e-mah ai dil us dam mujhe hasil ho,
Ek chand baghal mein ho, ek chand muqabil ho.
Chand apni prakriti ke prati wafadar hai,
Aur uski shakti kabhi kam nahi hoti.
Moon Shayari in Hindi
जाने क्यों चाँद पर जाने वाले क्यों इतना इतराते हैं,
जब एक चाँद मेरे घर में रोज चमकता रहता है।
Jaane kyon chaand par jaane wale kyon itna itrate hain,
Jab ek chaand mere ghar mein roz chamakta rahta hai.
उसके चेहरे की चमक के सामने सादा लगा,
आसमान पर चाँद पूरा था, मगर आधा लगा।
Uske chehre ki chamak ke saamne saada laga,
Aasmaan par chand poora tha, magar aadha laga
चाँद सितारे इस बात की देंगे गवाही,
के हमने सदा मोहब्बत की हर रीत निभाई।
Chaand sitare is baat ki denge gawahi,
Ke humne sada mohabbat ki har rit nibhai.
आ जाओ न कि चाँद रात है,
आ जाओ न कि दिल बहल जाए।
Aajao na ke chand raat hai,
Aajao na ke dil behal jaye.
चाँद फ़लक पे ये नाज़ करता है तौसीफ़,
कोई ज़मीन पर कभी इस जैसा भी होगा।
Chaand falak pe ye naaz karta hai tausiif,
Koi zameen par kabhi is jaisa bhi hoga
आख़िरी अल्फ़ाज़
Chand Shayari सिर्फ शब्द नहीं हैं, यह भावनाओं का एक सुंदर संगम है जो चाँद की रोशनी और दिल की गहराइयों को बयां करती है। अगर आप भी किसी को अपने जज़्बातों का इज़हार करना चाहते हैं, तो हमारी Chand Shayari का इस्तेमाल करें। अपने दिल की बात चाँद की रोशनी में छिपी हुई इस शायरी के जरिए कहें और अपने खास को महसूस कराएं कि वह आपके लिए कितने अहम हैं।
ShayariKingdom.Com पर और भी कई तरह की शायरी उपलब्ध है, जिन्हें आप अपने दोस्तों और प्रियजनों के साथ साझा कर सकते हैं। शायरी के इस सफर में हमारे साथ जुड़ें और अपनी भावनाओं को नए तरीके से बयां करें।